dard ghaTta bhi nahin hai ki fana ho jae

dard ghatta bhi nahin hai ki fana ho jae
aur badhta bhi nahin hai ki dawa ho jae

hai mujhe ilm ki ye khwab hai par khwab mein hi
mere allah use mujh se wafa ho jae

us ka ehsan hi itna hai meri sanson par
ghair-mumkin hai ki sanson se ada ho jae

wo kisi roz kare tark-e-talluq khud se
aur usi din se mera sirf mera ho jae

lakh achchha ho to mera jo nahin khak achchha
is se achchha hai ki tu sach mein bura ho jae

waqt ko kar de qalam khud ko syahi kar de
tera socha hua qismat ka likha ho jae

mujh ko malum hai wo shakhs mera hai lekin
hai ye lazim ki ab us ko bhi pata ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close