kabhi hota hun zahir jalwa-e-husn-e-niko ho kar kabhi khatir mein chhup jata hun teri aarzu ho kar kabhi kam ho ke sharmata hun misl-e-qatra saghar mein kabhi kasrat se ruk jata hun shishe ka gulu ho kar badha leta hun aksar rabt yar-e-pak-daman se lipat jata hun dast-o-pa se main aab-e-wuzu ho kar sukunat se bahut badh ke hai meri khana-bar-doshi raha karta hun har khatir mein teri justuju ho kar nahin hai ehtiyaj-e-ghair waqt-e-josh-e-betabi chhalak jata hun be-taklif saqi main subu ho kar sikhai hai nai tadbir mujh ko meri khatir ne pasand aata hun dushman ko bhi teri guftugu ho kar nahin chalti koi tadbir kya kya fikr karte hain main kar deta hun qail sab ko teri guftugu ho kar taqaza-e-tamanna se na ek ja do-ghadi baithe phiraya umr-bhar aalam mein teri justuju ho kar na kyun kar shor ho aalam mein meri fikr-e-khatir ka dilon ko khinch leta hun tumhaara rang-e-ru ho kar nahin mumkin kabhi tar-damani mein farq kuchh aae baha karte hain ashk-e-chashm mere aab-ju ho kar nishan kya puchhte ho be-nishanon ke thikanon ka dimaghon mein raha karta hun main gesu ki bu ho kar kabhi mulk-e-halab mein hun kabhi shahr-e-khutan mein hun nahin rahta teri shohrat ki surat ek su ho kar kharash-e-zakhm-e-sina muddaton ka dur karta hun lipat jata hun jab shane se zulf-e-mushk-bu ho kar kami main bhi meri hasti ki hasti aur paida hai kabhi abru bhi ban jata hun qasr-e-abru ho kar utha leta hun jo aae musibat apne sar par main saha karta hun zulm-e-dil-ruba aashiq ki khu ho kar bhali ko bhi samajhta hun buri har dost dushman ki nahin qabu mein main rahta mizaj-e-jang-ju ho kar mere soz-e-darun mein sau tarah ke lutf hasil hain jalata hun dilon ko yaad-e-yar-e-shama-ru ho kar lahu se pairahan tar dekh kar yaron ne farmaya 'nasim' aaya hai ku-e-yar se kya surkh-ru ho kar