tum mujhe bhi kanch ki poshak pahnane lage

tum mujhe bhi kanch ki poshak pahnane lage
main jise dekhun wahi patthar nazar aane lage

be-sabab ghar se nikal kar aa gae bazar mein
aaina dekha nahin taswir chhapwane lage

dasht mein pahunche to tanhai mukammal ho gai
badh gai wahshat to phir khud se hi takrane lage

khun ka nashsha chadha to jism zahrila hua
khwahishon ke paniyon mein sanp lahrane lage

kuchh nahin hai zehn mein to wahm ki shaklen bana
raushni hogi agar sae nazar aane lage

dekhna chaha to wo aankhon se ojhal ho gaya
chumna chaha to mere hont pathrane lage

rang aakhir le hi aaya meri sochon ka jumud
barf ke suraj bala ki dhup phailane lage

chal pade to ho liye 'iqbaal-sajid' apne sath
thak gae to apne hi sae hain sustane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close