kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain aqide se badi dair-o-haram ko dekh lete hain kabhi rote hue mujh ko nazar-andaz karte hain kabhi aankhon mein wo halki si nam ko dekh lete hain kabhi us muskurahat mein kabhi us be-rukhi mein hum sitam ko dekh lete hai karam ko dekh lete hain hamein is waste bhi aaine par pyar aata hai hum apni aankh mein apne balam ko dekh lete hain bichhad ke ho chuke barson magar khwabon ko hai taslim hum un ko dekh lete hain wo hum ko dekh lete hain