kabhi ilm ne use mat di kabhi aagahi ne hara diya jise tirgi na hara saki use raushni ne hara diya kabhi khushk un ke na lab hue rahi jin ki qatron se dosti jo samundaron ke rafiq the unhen tishnagi ne hara diya jinhen bebasi na hara saki unhen phir na koi hara saka jo zaruraton ke ghulam the unhen har kisi ne hara diya hamein sar-bulandi ata hui jahan jis mahaz pe dat gae mare roz jis ki talab mein hum usi zindagi ne hara diya na hai ilm-o-fan ki talab tumhein na taraqqiyon ka junun hai jo tumhaara tarz-e-hayat hai tumhein bas usi ne hara diya rah-e-ishq mein jo fana hue unhen jawedani ata hui jo asir-e-husn-e-hayat the unhen be-hisi ne hara diya