kabhi iqrar karta hai kabhi inkar karta hai mohabbat ka wo mujh se is tarah izhaar karta hai mere khwabon mein aa kar chhin leta hai sukun mera ye kaisa dost hai jina mera dushwar karta hai kabhi bhi samne se du-badu hota nahin zalim ajab buzdil hai har dam fasle se war karta hai bichhata hai jo kante dusron ki rah mein har dam haqiqat mein wo apni rah khud pur-khar karta hai nibahega zamane se wo kaise rasm-e-ulfat ko jo apni kaj-adai se hamein bezar karta hai gunahon mein chhupa rakkhi hai us ne kis qadar lazzat nahin karna hai jis ko dil use sau bar karta hai 'majid' ab dil lagana bhi nahin aata hai logon ko jise dekho wahi ulfat mein karobar karta hai