kaDi hai dhup magar saya-e-shajar hi nahin

kadi hai dhup magar saya-e-shajar hi nahin
safar hai samne aur koi ham-safar hi nahin

tabahiyon ka to saman kar liya sab ne
tabahiyon ki magar koi bhi khabar hi nahin

jise bhi dekhiye mast-o-alast hai khud mein
koi bhi rahmat-e-yazdan ka muntazir hi nahin

tamam log khuda-ashna to hain lekin
ye aur baat hai sajdon mein ab asar hi nahin

main chahta hun fazaon mein kar sakun parwaz
magar ai dost mere bazuon mein par hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close