kabhi jalaya gaya to kabhi bujhaya gaya tamam-umr charaghon ko aazmaya gaya abhi wo chand falak se utar ke aaega ye ek khwab hamein barha dikhaya gaya kiya hai pyas ka shikwa jo aasman se to sulagti ret ka manzar hamein dikhaya gaya to raaz khulne lage sare khushbuon ki tarah hawa ko jab bhi yahan raaz-dan banaya gaya bujhe bujhe se the ashkon ke jugnu kal ki shab tumhaare zikr se aankhon ko jagmagaya gaya wahin pe raqs bahut wahshaton ka tha 'jyoti' mohabbaton ka jazira jise bataya gaya