nakhl-e-mamnua ke rukh dobara gaya main to mara gaya arsh se farsh par kyun utara gaya main to mara gaya jo padha tha kitabon mein wo aur tha zindagi aur hai mera iman sare ka sara gaya main to mara gaya gham gale pad gaya zindagi bujh gai aql jati rahi ishq ke khel mein kya tumhaara gaya main to mara gaya mujh ko ghera hai tufan ne is qadar kuchh na aae nazar meri kashti gai ya kinara gaya main to mara gaya mujh ko tu hi bata dast-o-bazu mere kho gae hain kahan ai mohabbat mera har sahaara gaya main to mara gaya ishq chalta bana shairi ho chuki mai mayassar nahin main to mara gaya main to mara gaya main to mara gaya muddai bargah-e-mohabbat mein 'fartash' the aur bhi mera hi nam lekin pukara gaya main to mara gaya