kabhi jo bhule se dil mein khayal-e-yar aaya shabab-e-rafta ko main dur tak pukar aaya kuchh is ada se mera jaan-e-intizar aaya mujhe khud apni nazar par na eatibar aaya kiya tha aane ka wada wo ek bar aaya na aa saka sar-e-baalin sar-e-mazar aaya ye meri aah ki tasir thi ya us ki zid wo be-qarar hua jab mujhe qarar aaya balaen le ke mere zakhm-e-dil ko chum liya sitam-zarif ko aaya to kis pe pyar aaya hamare baad jo aae hain puchh lo un se ki un ke panw ke niche bhi koi khar aaya jis aaine ko nazar bhar ke main ne dekh liya us aaine mein nazar mujh ko aks-e-yar aaya pilai thi mere saqi ne jis mein pahle-pahal wo jam mere tasawwur mein bar-bar aaya suni thi apni hi aawaz dasht-e-wahshat mein main apne aap ko chaaron taraf pukar aaya gaya tha tark-e-mohabbat ka faisla karne magar main aakhiri bazi bhi un se haar aaya dil-o-jigar ko luta kar nazar-guzar ke liye main tere husn ka sadqa bhi aaj utar aaya