kabhi jo haal-e-dil likhkhun tasalsul TuT jata hai

kabhi jo haal-e-dil likhkhun tasalsul tut jata hai
koi shai kho si jati hai kahin kuchh chhut jata hai

mata-e-umr ki gathri kahan rakhun main le ja kar
guzarne wala har lamha ye daulat lut jata hai

agar shisha ho hathon mein to tan farhad hai jaanan
pahadon ki chatanon se bhi chashma phut jata hai

ye kaisa but-kada hai sare but hain kachchi mitti ke
main jis chehre ko chhuta hun wo chehra tut jata hai

ajab hai ehtisab-e-umr-e-rafta ki ye manzil bhi
agar qatron ko ginta hun to dariya chhut jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close