dekhun to sara jism sunahra dikhai de

dekhun to sara jism sunahra dikhai de
sochun to qabr jaisa andhera dikhai de

is shahr-e-khud-kalam ne gunga sa kar diya
har shakhs apne aap mein uljha dikhai de

ab aakhiri padaw pe hai ye azab-rut
wo dhup hai ki saya bhi jalta dikhai de

ab ke ufuq pe khushbu ghataen uthi to hain
shayad ki har shajar gul-e-naghma dikhai de

kya karte aisi dida-wari ke liye hum 'zamir'
har aankhon-dekha sach jise jhuta dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close