kabhi jo marka KHwabon se rat-jagon ka hua

kabhi jo marka khwabon se rat-jagon ka hua
ajib silsila aankhon se aansuon ka hua

jala ke chhod gaya tha jo taq-e-dil mein kabhi
kisi ne puchha na kya haal un diyon ka hua

likha gaya hai mera nam dushmanon mein sada
shumar jab bhi kabhi mere doston ka hua

mazaq udate the aandhi se pahle sab mera
jo mere ghar ka tha phir haal sab gharon ka hua

badal rahi hain mere hath ki lakiren phir
kaha na ab ke bhi shayad najumiyon ka hua

wafa-shiar tabiat ka ye sila hai 'nur'
meri hayat ka har lamha dusron ka hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close