zaKHm ab tak wahi sine mein liye phirta hun

zakhm ab tak wahi sine mein liye phirta hun
kufe walon ko madine mein liye phirta hun

jaane kab kis ki zarurat mujhe pad jae kahan
aag aur khak safine mein liye phirta hun

ret ki tarah phisalte hain meri aankhon se
khwab aise bhi khazine mein liye phirta hun

ek nakaam mohabbat mera sarmaya hai
aur kya khak dafine mein liye phirta hun

dil pe likkha hai kisi aur pari-zad ka nam
naqsh ek aur nagine mein liye phirta hun

is liye sab se alag hai meri khushbu 'ami'
mushk-e-mazdur pasine mein liye phirta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close