kabhi jo nur ka mazhar raha hai wo kin tarikiyon mein mar raha hai kisi suraj ka tukda tod laen zamin ka jism thanda pad raha hai kahin aasar dhunden zindagi ke kabhi ye chand mera ghar raha hai mata-e-asman bhi lut na jae sitare par sitara gir raha hai hawa mein lafz likkhe ja rahe hain koi zakhmi parinda ud raha hai