kabhi junun to kabhi aagahi ki qaid mein hun main apne zehn ki aawargi ki qaid mein hun sharab mere labon ko taras rahi hogi main rind to hun magar tishnagi ki qaid mein hun na koi samt na jada na manzil-e-maqsud yugon yugon se yunhi be-rukhi ki qaid mein hun kisi ke rukh se jo parda utha diya main ne saza ye pai ki diwangi ki qaid mein hun ye kis khata ki saza mein hain dohri zanjiren giraft maut ki hai zindagi ki qaid mein hun na jaane kitni naqaben ulatta jata hun janm janm se main bechaargi ki qaid mein hun yahan to parda-e-simin pe chal rahi hai film main jis jagah hun wahan raushni ki qaid mein hun jahan main qaid se chhutun wahin pe mil jaana abhi na milna abhi zindagi ki qaid mein hun gharaz nasib mein likkhi rahi asiri hi kisi ki qaid se chhuta kisi ki qaid mein hun gunah ye hai ki kyun apna nam rakha 'nur' wo din aur aaj ka din tirgi ki qaid mein hun