wo aalam hai ki har mauj-e-nafas hai ruh par bhaari khuda jaane ye jina hai ki jine ki adakari khuda-wanda tere zauq-e-ata ko kya kahe koi mili hai hum se khufta-qismaton ko dil ki bedari daraata kya dil-e-sarkash ko ehsas-e-saza lekin laraz jata hai nam-e-afw se naz-e-khata-kari nazar utthi kisi ki dil ne ek paigham sa paya ye lamha hai ki hum udti hui si koi chingari uthae zindagi ka bojh badhta ja raha hun main tamanna-e-subuk-sari na ehsas-e-giranbari mitai jaegi ye muskuraati nachti duniya azal se sirf ek din ke liye kya kya hai tayyari farishte rashk se kya kya na takte hain use 'hurmat' koi karta hai pahli bar jab azm-e-gunahgari