kabhi kabhaar bhi kab saeban kisi ne diya na hath sar pe ba-juz aasman kisi ne diya nisar main teri yaadon ki chhatriyon pe nisar na is tarah ka kabhi saeban kisi ne diya hamare panw bhi apne nahin hain aur sar bhi zamin kahin se mili aasman kisi ne diya bika tha kal bhi to ek zehan chand sikkon mein sanad kisi ko mili imtihan kisi ne diya ulajh pada tha wo malik-makan se ek din phir is ke baad na us ko makan kisi ne diya tu itne gham ko sambhaalega kis tarah 'nasik' agar tujhe bhi gham-e-bekaran kisi ne diya