main jaan gaya hun wo mera gham na karega achchha hai mere baad wo matam na karega kya koi karega mere zakhmon ka mudawa jab mera lahu khud mujhe marham na karega jadu use aata hai ye malum hai sab ko jadu se kisi shai ko wo darham na karega ab shaikh se ummid murawwat ki na rakhna nazrana nahin doge to wo dam na karega ghar sar pe utha lene mein aata hai use lutf ye shor bhi us ka mujhe barham na karega