kabhi kabhi kitna nuqsan uthana padta hai airon ghairon ka ehsan uthana padta hai tedhe-medhe raston par bhi khwabon ka pashtara teri khatir meri jaan uthana padta hai kab sunta hai nala koi shor-sharabe mein majburi mein bhi tufan uthana padta hai kaisi hawaen chalne lagi hain mere baghon mein phulon ko bhi ab saman uthana padta hai gul-daste ki khwahish rakhne walon ko aksar koi khar bhara gul-dan uthana padta hai yan koi tafriq nahin hai shah gada sab ko apna bojh dil-e-nadan uthana padta hai yun mayus nahin hote hain koi na koi gham achchhe achchhon ko har aan uthana padta hai makkaron ki is duniya mein kabhi kabhi 'alam' achchhe logon ko bohtan uthana padta hai