kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte kuchh karte hain aisa ba-khuda kuchh nahin karte apne maraz-e-gham ka hakim aur koi hai hum aur tabibon ki dawa kuchh nahin karte malum nahin hum se hijab un ko hai kaisa auron se to wo sharm o haya kuchh nahin karte go karte hain zahir ko safa ahl-e-kudurat par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte wo dilbari ab tak meri kuchh karte hain lekin tasir tere nale dila kuchh nahin karte dil hum ne diya tha tujhe ummid-e-wafa par tum hum se nahin karte wafa kuchh nahin karte karte hain wo is tarah 'zafar' dil pe jafaen zahir mein ye jaano ki jafa kuchh nahin karte