kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujh ko teri talash kyun hai ki jab hain sare hi tar tute to saz mein irtiash kyun hai koi agar puchhta ye hum se batate hum gar to kya batate bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi kharash kyun hai utha ke hathon se tum ne chhoda chalo na danista tum ne toda ab ulta hum se to ye na puchho ki shisha ye pash pash kyun hai ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi hawas dil ko khinchti hai kabhi ye sharmindagi hai dil mein ki itni fikr-e-maash kyun hai na fikr koi na justuju hai na khwab koi na aarzu hai ye shakhs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye lash kyun hai