na ghair hi mujhe samjho na dost hi samjho mere liye ye bahut hai ki aadmi samjho main rah raha hun zamane mein sae ki surat jahan bhi jao mujhe apne sath hi samjho har ek baat zaban se kahi nahin jati jo chupke baithe hain kuchh un ki baat bhi samjho guzar to sakti hain raaten jala jala ke charagh magar ye kya ki andhere ko raushni samjho wo sher kahne lage ho tum ab to ai 'mahshar' na koi aur hi samjhe na aap hi samjho