kabhi kabhi tu na hogi kabhi hua karegi zarur tujh ko kisi ki kami hua karegi rahegi aise hi raunaq tere mahalle ki guzarne wale na honge gali hua karegi jo hum na honge to phir kaun tum se mangega tumhein hamari zarurat sakhi hua karegi bichhad ke mujh se meri jaan khush raha karna tu khush raha to mujhe bhi khushi hua karegi hamara khas talluq to khair tha hi nahin aur ab to baat bhi bas sarsari hua karegi tum aur main to yaqinan wahan janam lenge kahin khala mein agar zindagi hua karegi