kisi ko apni kisi ko apni kisi ko apni paDi hui hai

kisi ko apni kisi ko apni kisi ko apni padi hui hai
hamein to le de ke sari duniya mein sirf teri padi hui hai

hum apne bare mein sab sawalat aur logon se puchhte hain
hamare hathon se zindagi ki kitab unchi padi hui hai

wo ghair logon ki ghair dharti pe panw ke naqsh kadhta hai
idhar hamare chanab ki ret ab bhi suni padi hui hai

bahut pareshan hun itni ujlat mein thik chehra nahin banega
main khud ko tartib de raha hun aur us ko jaldi padi hui hai

ye us ki marzi hai jis ko dekhe magar musawat se to dekhe
kisi ki rangat dahak rahi hai kisi ki phiki padi hui hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close