kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-mazi mite mite se wo aazmaish dil o nazar ki wo qurbaten si wo fasle se kabhi kabhi aarzu ke sahra mein aa ke rukte hain qafile se wo sari baaten lagaw ki si wo sare unwan visal ke se nigah o dil ko qarar kaisa nashat o gham mein kami kahan ki wo jab mile hain to un se har bar ki hai ulfat nae sire se bahut giran hai ye aish-e-tanha kahin subuk-tar kahin gawara wo dard-e-pinhan ki sari duniya rafiq thi jis ke waste se tumhin kaho rind o mohtasib mein hai aaj shab kaun farq aisa ye aa ke baithe hain mai-kade mein wo uth ke aae hain mai-kade se