kai bar is ka daman bhar diya husn-e-do-alam se magar dil hai ki is ki khana-virani nahin jati kai bar is ki khatir zarre zarre ka jigar chera magar ye chashm-e-hairan jis ki hairani nahin jati nahin jati mata-e-lal-o-gauhar ki giran-yabi mata-e-ghairat-o-iman ki arzani nahin jati meri chashm-e-tan-asan ko basirat mil gai jab se bahut jaani hui surat bhi pahchani nahin jati sar-e-khusrau se naz-e-kaj-kulahi chhin bhi jata hai kulah-e-khusrawi se bu-e-sultani nahin jati ba-juz diwangi wan aur chaara hi kaho kya hai jahan aql o khirad ki ek bhi mani nahin jati