kabhi khirad ka kabhi ishq ka bahana tha meri hayat ka maqsad fareb khana tha teri nigah ko gahraiyon mein jaana tha mere sukut ki har tah mein ek fasana tha chaman ke ek hi goshe mein hai hujum-e-bahaar ye wo jagah hai jahan mera aashiyana tha khizan ka khauf tha ghunchon ko fasl-e-gul mein magar wo muskura ke rahe jin ko muskurana tha jahan hua tha unhen pa-shikastagi ka guman musafiron ko wahin se qadam badhana tha shab-e-firaq ke mare hue na dekh sake tulu-e-subh ka manzar bahut suhana tha wo be-khabar hain mohabbat se jo ye kahte hain kisi ki yaad mein duniya ko bhul jaana tha jahan-jahan main ruka waqt ke qadam bhi ruke mera wajud khud apni jagah zamana tha huzur-e-husn majal-e-nazar na thi 'shahid' hamein khud apne muqaddar ko aazmana tha