jo farz aaed hua hai hum par use khushi se ada karenge hamara shewa yahi raha hai jafa ke badle wafa karenge shikasta kashti muhib tufan aur sahil nazar se ojhal azab kitne hi aaen hum pe na minnat-e-nakhuda karenge rasai kaise wafa ki manzil pe hogi ye raaz hum se puchho jahan safar khatm sab ka hoga wahin se hum ibtida karenge khushi ke jhule hain jhulne wale kya samajh paen zindagi ko ye raaz un par khulega jis dam wo dil ko gham-ashna karenge shajar hai be-barg kaliyan raundi hui gul-o-lala hain fasurda yahi hai manzar bahaar ka to chaman mein hum ja ke kya karenge rahe hain zat-e-khuda se munkir gunah taslim hai magar ab hayat ki sarzanish se dar kar buland dast-e-dua karenge azal se dastur hai ye qaem na is mein tarmim ho sakegi charagh-ha-e-hayat 'gauhar' jala karenge bujha karenge