kabhi khona kabhi kho kar ke pana sath chalta hai ye duniya hai yahan par aana jaana sath chalta hai azal se aaj tak ye aashiqana sath chalta hai mohabbat jis taraf jae zamana sath chalta hai magar ye qatl-o-ghaarat film natak kya drama hai haqiqat talkh hai itni fasana sath chalta hai wahi hai sharh-e-literacy wahi woter hain na-khwanda hukumat par wahi qabiz gharana sath chalta hai mohabbat falsafa hai amjad-e-islam apna bhi amal paiham magar ye kafirana sath chalta hai hui jati hai 'safwat' khatm fikr-e-kisht-e-viran bhi chale jaen jidhar hum aab-o-dana sath chalta hai