khushbu hai zafran ki aiwan-e-shahr aaj hasti koi zarur hai mehman-e-shahr aaj takraen jam-o-mina o finjaan-e-shahr aaj piran-e-pir hai koi rindan-e-shahr aaj sab chauk par hain jama hasinon ki toliyan hai bich mein faraaz meri jaan-e-shahr aaj ab dil hamare aaj se us ke asir hain hakim se tai hua hai ye tawan-e-shahr aaj kahte hain husn-e-yusuf-e-kanan-e-misr se behosh kuchh hui hain hasinan-e-shahr aaj sab taliyan bajaen to ho khatm ye ghazal 'safwat' ke sath mil ke jawanan-e-shahr aaj