kabhi khud ko dard-shanas karo kabhi aao na mujhe itna to na udas karo kabhi aao na meri umr-sarae mahke hai gul-e-hijran se kabhi aao aa kar bas karo kabhi aao na mujhe chand mein shakl dikhai de jo duhai de koi chaara-e-hosh-o-hawas karo kabhi aao na isi gosha-e-yaad mein baitha hun kai barson se kisi raft-guzasht ka pas karo kabhi aao na kahin aab-o-hawa-e-tishna-labi mujhe mar na de use barkha ban kar ras karo kabhi aao na sada aate jate mausam ki ye gulab-ruten koi der hain ye ehsas karo kabhi aao na