khair se ab hai wahan aap ka bimar ki bas is qadar der laga di mere sarkar ki bas ser hota hi nahin zauq-e-tamasha lekin mujh se kahti hai meri jurat-e-didar ki bas hijr ke nam pe bhi wasl ke unwan se bhi ishq ne itne diye hain mujhe aazar ki bas kis qadar thi wo nazar aaina-kirdar na puchh is qadar chur hua hai but-e-pindar ki bas na gham-e-dil ke hi bas ke na gham-e-dauran ke itne aazad hue tere giraftar ki bas