kabhi kuza kabhi kasa kabhi saghar banate hain ye kaisi pyas ki taskin kuza-gar banate hain banate hain safine jo samundar par karne ko wahi patwar ke hamrah kyon langar banate hain chalo mana ke mehnat se makan tum hi banate ho mohabbat se magar apni hamin to ghar banate hain jo pahle hathkadi aur bediyan thin bint-e-hawwa ki ab un ki shakl ke ahl-e-jahan zewar banate hain phir us ka waqt-e-rukhsat laut kar aana palat jaana hum apni aankh mein har raat wo manzar banate hain tabiat khud-bakhud mail kiya karti hai jazbon ko kabhi kya soch kar hum dost ya dilbar banate hain wo bhula phir kisi bhi sham ghar wapas nahin lauta 'hina' man bap jis ka aaj bhi bistar banate hain