tamam lafz mujhe dastiyab the lekin

tamam lafz mujhe dastiyab the lekin
sawal wo the ki jin ke jawab the lekin

zamin-e-dil pe likha harf sach raha hoga
nuqush-e-ishq nazar ke sarab the lekin

wo shahr jis ke sabhi rawiyon ne chain likha
pale usi mein kai inqalab the lekin

nikal rahe hain abu-jehl hi ke rishte-dar
kisi zamane mein ahl-e-kitab the lekin

to kya ki ishq ki qimat pe chadh gae suli
meri nazar mein wahi kaamyab the lekin

jo sinchte rahe rishte sawab ki khatir
unhi ke hisse mein kitne azab the lekin

thahar to jate kisi manzil-e-hayat pe hum
safar pe maut ke pa-ba-rikab the lekin

har ek shakhs tha kharon ke haar pahne hue
'hina' qadam mein sabhon ke gulab the lekin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close