kabhi lagawat kabhi adawat mujhe ijazat tujhe hai sujhi nai shararat mujhe ijazat main aaine ko qarib la ke zara jo rakkhun badalne lagti hai teri surat mujhe ijazat har ek tujh ko bahut hai pyara bahut hi pyara main jaanta hun ye teri aadat mujhe ijazat teri talab mein jahan sara yahan khada hai mujhe ijazat mujhe ijazat mujhe ijazat tumhaare lahje ki sard-mehri to kam na hogi thithur gai hai meri samaat mujhe ijazat yahan to bas hain tamam danish-waran-e-ulfat sunun main kis kis ki ab khitabat mujhe ijazat main apne hathon se likkhe kaghaz jalaun kaise tujhe mubarak teri ye jurat mujhe ijazat koi gila hai na koi shikwa na koi ranjish jahan raho tum raho salamat mujhe ijazat badal badal ke charagh rakkhe hain taqchon par qubuliyat ki na aai saat mujhe ijazat pukar lena bila-jhijak tum mujhe kahin bhi agar pade jo meri zarurat mujhe ijazat