kabhi mahr-o-mah-o-nujum se kabhi kahkashan se guzar gaya main teri talash mein aakhirash had-e-la-makan se guzar gaya ye tafaut-e-sanam-o-haram hai tabhi ki jab bhi nasha ho kam jo bhi gharq-e-baada-e-haq hua gham-e-in-o-an se guzar gaya kabhi shahr-e-husn-e-khayal se kabhi dasht-e-huzn-o-malal se tere ishq mein tere pyar mein main kahan kahan se guzar gaya teri rahguzar meri rahguzar tere naqsh-e-pa meri rah par tu jahan jahan se guzar gaya main wahan wahan se guzar gaya rah-e-zindagi mein maqam wo mujhe bar-ha mile dosto ki khirad ka panw phisal gaya hai junun jahan se guzar gaya mera jism kya meri ruh kya nahin koi zakhmon ki intiha ai 'amir' tir-e-nigah-e-husn kahan kahan se guzar gaya