kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein bahut kuchh ro chuke hum to adakari ke mausam mein utar aaunga main bhi zina-e-hasti se yun ek din ki jaise rang-e-rukh utre hai nadari ke mausam mein tumhaare khat kabhi padhna kabhi tartib se rakhna ajab mashghuliyat rahti hai bekari ke mausam mein ba-juz mere zamane ki qaba rangin kar dali ye kya tafriq rakkhi us ne gul-kari ke mausam mein sar-e-barg-e-tamanna marham-e-didar kah jaen na aaen samne mere nigah-dari ke mausam mein tulu-e-mehr se tutegi un ki nind na-mumkin jo khwabida raha karte hain bedari ke mausam mein taras khate hain kyun ahbab mere haal par 'akhtar' bahut be-chainiyan badhti hain gham-khwari ke mausam mein