kabhi main aalam-e-imkan se guzar jata hun aur kabhi jism ki daldal mein utar jata hun ye bhara shahr kabhi mujh mein simat aata hai kabhi main shahr mein har-gam bikhar jata hun shahr se rahti hai ek jang musalsal din-bhar shahr jab hanpne lagta hai to ghar jata hun is kashakash mein hi milta hai nishan hone ka jab bhi takmil ka ehsas ho mar jata hun le udi raushni hi jurat-e-binai meri ab to main din ke ujale se bhi dar jata hun apne zarre hi nazar aate hain ta-hadd-e-nazar ek zara sar ko jhukaun to bikhar jata hun ek ek aankh mein apni hi kahani dekhun apna chehra nazar aata hai jidhar jata hun shahr sajte hain guzar-gahen chamak uthti hain apne hi khun mein dubun to sanwar jata hun 'sham' khulta hi nahin maut ka hangam hai kya waqt ruk jata hai ya main hi thahar jata hun