wo husn wo khushbu mere kirdar mein aa jae har shakhs mujhe dekhne bazar mein aa jae chahun bhi to ghar ko main kabhi chhod na paun ai kash wo rangat dar-o-diwar mein aa jae kitne hi mazalim hon qalam chalta rahe bas jitna bhi ho pani isi talwar mein aa jae har sham shafaq dekh ke dil kahta hai mera shayad yahi surkhi har ek akhbar mein aa jae diwana 'sharar' logon se ab kahne laga hai jalna ho jise saya-e-ashjar mein aa jae