kabhi majbur ho jaana kabhi lachaar ho jaana hamein lazim hai goya talib-e-didar ho jaana na jaane bil-mushafa guftugu par hashr kya hoga qayamat ho gaya jab us se aankhen chaar ho jaana sukun jata raha dil ki tamanna mein tadap uthin bala-e-na-gahani tha kisi se pyar ho jaana zara rashk-e-masiha ho ke mere samne aao ilaj-e-dard-e-dil hai aap ka didar ho jaana bahaaron ka karun kyon intizar ab kya zarurat hai jigar ke dagh ka mushkil nahin gulzar ho jaana hamein le aaya jazb-e-shauq us meraj-e-ulfat par mayassar aa gaya hai naqsh-bar-diwar ho jaana zahe-qismat huzur-e-husn izn-e-baryabi ho bahut achchha hai 'jauhar' aaina-bardar ho jaana