kaise in aankhon se dekhun mah-e-kaamil ki taraf

kaise in aankhon se dekhun mah-e-kaamil ki taraf
main ne dekha hai jamal-e-raunaq-e-dil ki taraf

dekh leta sirf apne khana-e-dil ki taraf
yunhi mail ho gaya tha qais mahmil ki taraf

main to mahw-e-be-khudi tha mujh ko kya malum hai
laya hai mera junun kyon teri mahfil ki taraf

dubne wale ki hasrat ka ye aalam dekhiye
phir nigah-e-yas pahunchi ahl-e-sahil ki taraf

aaj bimar-e-alam duniya se yun rukhsat hua
dam labon par tha magar aankhen thin qatil ki taraf

tujh ko is rangin-nigah-e-hashr-saman ki qasam
ek nigah-e-lutf-parwar bhi mere dil ki taraf

le chali be-tabi-e-dil aaj 'jauhar' khinch kar
us but-e-rangin-nazar zohra shamail ki taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close