kabhi masjid kabhi mandir se utha ek sawali tha tere dar se utha jab bujha dil mein charagh-e-ummid ek dhuan sa mere andar se utha chandni ru-e-zamin par phaili shor tufan ka samundar se utha jab luti apni mata-e-hasti ek shoala sa mere ghar se utha wo bhi ek nara-e-mastana tha jo mere saya-e-paikar se utha kis qayamat ki ye angdai hai nashsha sa baada-o-saghar se utha us ka paikar kabhi manind-e-salib mere har khwab ke mehwar se utha dair mein jab bhi utha hai fitna sanad-e-khair se ya shar se utha meri pahchan hai mujh se qaem har-nafas apne hi mehwar se utha main jo ek shoala-nawa shair hun be-sada bazm-e-sukhnawar se utha