kaf-e-ghubar mein malbus mera paikar tha ye saneha to azal se mera muqaddar tha har ek samt se mujh par hui thi barish-e-sang zahe-nasib main apne makan ke andar tha sukut-e-shab mein ye aawaz mujh ko di kis ne wo raste ka musafir tha ya ki rahbar tha usi ka aks raha aaine mein jalwa-fagan wo apni zat ka shayad khud aaina-gar tha tere jamal se thi zindagi mein ranai mere wajud ka tu hi azal se mehwar tha andheri raat mein saya bhi sath de na saka nasheb-e-rah mein khud hi main apna rahbar tha meri nazar mein baresham tha silk pairahan guhar bhi mere liye raste ka patthar tha mere safar ki 'saba' intiha yahi to nahin qadam tha ret pe aur samne samundar tha