kabhi mastur rahti hai kabhi malum hoti hai

kabhi mastur rahti hai kabhi malum hoti hai
tajalli ek fareb-e-agahi malum hoti hai

karishma-sazi-e-waraftagi malum hoti hai
nigah-e-shauq teri aarsi malum hoti hai

nasheman par ye aafat bhi nai malum hoti hai
faza mein ek tadapti raushni malum hoti hai

jo isar-o-mohabbat ki kami malum hoti hai
ye duniya daulat-e-dil se tahi malum hoti hai

tere qurban pasina ponchh mathe se nadamat ka
ki thandi dhup phiki chandni malum hoti hai

yaqinan aabla-pa koi guzra hai bayaban se
zamin jalti hai kanton mein nami malum hoti hai

khuda jaane likha ahl-e-wafa ne kaisa afsana
zamana ho gaya baat aaj ki malum hoti hai

yahan kis se mudawa chahun apne dard ka 'natiq'
mujhe to sari duniya ajnabi malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close