kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai

kisi ko kya agar jaib-o-gareban par hansi aai
ki mujh ko khud mere haal-e-pareshan par hansi aai

kisi ke shewa-e-be-e'tinai par lahu roya
kisi ki pursish-e-haal-e-pareshan par hansi aai

mila manzil-ba-manzil kuchh na juz aaghaz-e-manzil ke
maal-e-justaju-e-umr-e-jaulan par hansi aai

kabhi jab mawara-e-alam-e-imkan nazar pahunchi
bahut kotah-damani-e-imkan par hansi aai

sharab-e-zindagi ka aakhiri ghunt uf are tauba
kahan nakaami-e-tadbir-e-insan par hansi aai

haqiqat din-o-duniya ki samajh mein aa gai jis dam
na puchho kitni bahs-e-kufr-o-iman par hansi aai

hawa itni thi lekin chand sanson ka tha afsana
hayat-o-maut ke rangin unwan par hansi aai

ulu-e-fikr ne har auj ko zer-e-nazar paya
nigah-e-ghaur kar har raaz-e-pinhan par hansi aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close