kabhi meri har khushi ko mere mehrban ne luta kabhi meri anjuman ko mere pasban ne luta kabhi bijliyan tadap ke girin mere aashiyan par jo bache the chaar tinke unhen raaz-dan ne luta the bacha bacha ke rakhe kuchh gul rah-e-chaman se mujhe dal kar qafas mein unhen baghban ne luta jo bahaar ban ke aae wo ghubar ban ke bhatke kabhi to saba ne chheda kabhi hai khizan ne luta meri pa-e-justuju ko meri khu-e-arzu ko mere raste mein aa kar nae imtihan ne luta na mila sukun aakhir jo jahan-e-rang-o-bu mein na mujhe kisi ne jaana mujhe hai jahan ne luta nahin hai gila kisi se na 'ada' koi shikayat mujhe zabt-e-gham ne roka gham-e-na-gahan ne luta