kabhi mit kar na fana hasrat-o-arman honge ban ke dagh-e-dil-e-mayus numayan honge dagh-ha-e-dil-e-sozan ko main rakhta hun aziz yahi ek roz ayagh-e-mai-e-irfan honge meri ulfat ne badhaya hai tera husn-o-jamal mah-jabin ab tujhe dekhenge to hairan honge saya-e-zulf-e-pareshan jo samajhte hain tujhe wo tere shukr-guzar ai shab-e-hijran honge shikwa-e-jor par ai dost na ho sharminda tu jo pachhtaega hum aur pasheman honge ras aaega unhin ko ye junun-e-ulfat jo gul-e-tar ki tarah chaak-gareban honge dekh kar shaikh-o-barahman ki adawat ya-rab sochta hun kabhi insan bhi insan honge do bahaaron ko na dawat ki asiran-e-qafas aamad-e-fasl-e-bahaari se pareshan honge