kabhi na lahr ban saka bahaw mein guzar gaya sukun ki aarzu liye tanaw mein guzar gaya guzar gai tamam umr jis ki aarzu liye wo lamha-e-visal rakh-rakhaw mein guzar gaya kabhi koi hasin laga kabhi koi hasin-tar mera shabab husn ke chunaw mein guzar gaya sitam ki bahr-e-ishq mein kabhi na main utar saka mera safar to hasraton ki naw mein guzar gaya mufahamat ka dars jo shikam ki aag se mila so aafaton ka daur sab jhukaw mein guzar gaya tamam umr jis sabab ghamand tujh ko tha bahut wo mal-o-zar tere hi bach-bachaw mein guzar gaya main ajnabi ke hath tere samne hi bik gaya tera tamam waqt bhaw-taw mein guzar gaya na ham-safar mila mujhe na koi rasta mila padaw mein janam hua padaw mein guzar gaya