kuchh yun main apne aap se kaTta chala gaya

kuchh yun main apne aap se katta chala gaya
bas khal-o-khad se rah gae chehra chala gaya

afsana mere jehd ka itna sa tha ki main
andesha-e-yaqin se ladta chala gaya

aaya nahin palat ke ujala kabhi yahan
haalanki ghar se kab ka andhera chala gaya

bhaunre nidar the koh-e-haqiqat se ja lade
main saya-e-sarab se darta chala gaya

jis ja kiya zara sa kabhi niyyat-e-qiyam
us ja ke ped ped ka saya chala gaya

ek lau ka rud-khana-e-muztar sa hun magar
chup-chap dasht-e-karb mein bahta chala gaya

yun mubtala-e-khauf tha mujh se adu mera
lashe pe mere tir chalata chala gaya

duniya ulajh ke rah gai hirs-o-hawas ke gird
'mansur' kaif-e-wajd mein chalta chala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close